Skip to main content
Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona

Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahi Insaan Hona


Giryaa Chahe Hai Kharabi Mere Kashaane Ki

Dar-O-Deewar Se Tapke Hai Bayabaan Hona


Waye Deewangi-E-Shauq Ke Har Dum Mujh Ko

Aap Jana Udhar Aur Aap Hi Hairaan Hona


Ishrat-E-Qatal Ke Ahl-E-Tamanna Mat Pooch

Eid-E-Nazara Hai Shamsheer Ka Uriyaan 
Hona


Le Gaye Khaak Mai Hum Daag-E-Tamanna Aey Nishat

Tu Ho Aur Aap Ba’sad Rang-E-Gulistaan Hona


Ki Mere Qatal Ke Baad Us Ne Jafa Se Toba

Haye Is Zood Pashaiman Ka Pashaiman Hona


Haif Is Chaara’gar Kapre Ki Qismat Ghalib!

Jis Ki Qismat Mai Ho Aashiq Ka Girebaan Hona

Comments

Popular posts from this blog

Six Keys to Understanding Women

1. Recognize that women want to feel connected. Women want to make sure their relationship is on solid ground. After a period of separation — even a day apart — establish that closeness as soon as you can, and everything afterward will flow more freely. This doesn't mean you have to put your own needs completely on hold. For example, if you come home exhausted from a long day at work and your partner wants to talk, try saying, “I'm so glad to see you. I missed you and wondering how your day was going. I want to hear all about it, but I'm tired right now. I need a few minutes to unwind and relax. Can we talk in 15 minutes?” 2. Don't jump into problem-solving mode. If you're not sure what your partner needs at any given moment, it's okay to ask her. You might say, “It sounds like you're really upset. Would you like me to listen, or would you like some suggestions?” 3. If your partner is less interested in  sex  than you are, try a li...

Saadagi par us ki mar jaane ki hasrat dil mein hai

Saadagi par us ki mar jaane ki hasrat dil mein hai Bas nahin chalta ke phir khanjar kaf-e-qaatil mein hai Dekhana taqareer ki lazzat ki jo usne kaha Maine yah jaana ki goya yah bhi mere dil mein hai Garche hai kis kis buraai se vale baayeen hama zikr mera mujh se behtar hai ki us mahafil mein hai Bas hujoom-e-na umeedi khaak mein mil jayagi yah jo ik lazzat hamari sa_i-e-behasil mein hai Ranj-e-rah kyon khe.nchiye vaamaandagi ko ishq hai uth nahin sakata hamara jo qadam manzil mein hai Jalwa zaar-e-aatish-e-dozakh hamara dil sahi fitana-e-shor-e-qayamat kis ki aab-o-gil mein hai Hai dil-e-shoriida-e-Gaalib tilism-e-pech-o-taab raham kar apni tamanna par ki kis mushkil mein hai

Tumhara Hijar Mana Lon Agar Ijazat Ho تمہارا ہجر منا لوں اگر اجازت ہو

تمہارا ہجر منا لوں اگر اجازت ہو میں دل کسی سے لگا لوں اگر اجازت ہو تمہارے بعد بھلا کیا ہیں وعدہ و پیماں بس اپنا وقت گنوا لوں اگر اجازت ہو تمہارے ہجر کی شب ہائے کار میں جاناں کوئی چراغ جلا لوں اگر اجازت ہو جنوں وہی ہے وہی میں مگر ہے شہر نیا یہاں بھی شور مچا لوں اگر اجازت ہو کسے ہے خواہش مرہم گری مگر پھر بھی میں اپنے زخم دکھا لوں اگر اجازت ہو تمہاری یاد میں جینے کی آرزو ہے ابھی کچھ اپنا حال سنبھالوں اگر اجازت ہو